PDA

View Full Version : Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne Rasm-e-Wafa ko khoob



muhram al haram
10-13-2014, 04:35 PM
Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne

Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne

Khud ko to ek boond bhi Pani na mil saka

Karb-O-Bala Ko khoon pilaya Hussain ne

Aesi Namaz kaon parhega Jahan men

Sajda kiya to Sar Na uthaya Hussain ne

Sab kuch Khuda ki raah men Qurban kar diya

Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne