Aisa bhi nahi,
Aath Martaba To Usne Mujh se Zaroor Jhot bola ...
Ye qissa meri wiladat se shuru hota hai,
Me Iklota Beta tha or ghurbat buhat thi ..
Itna khana nahi hota tha jo hum sab ko kaafi ho jaye
Aik din hamare ghar kahin se chawal aaye ..
Me Bare shauq se khane laga or wo khilane lagi
Me ne dekha k usne apni plate k chawal bhi meri Thaal me daal diye ..
"Beta Ye Chawal Tum Kha Lo .. Mujhe to Bhook hi nahi Hai"
Ye uska Pehla Jhoot tha ..

Or Jab me Qadre Bara howa to aik din Machli Pakarne gaya ..
Us choti si nehar se jo Hamare Qasbe se Guzarti thi
Youn howa k Do Machliyaan mere Haath Lagi ..
Bhaga Bhaga Ghar aya or jab khana tayyar ho gaya
Dono Machliyaan saamne thin or me shauq se kha raha tha
Dekha k Maa sirf kaantoon ko choos rahi thi ..
Maine Jab ye dekh ker khane se hath khench liya to kehne lagi ...
"Tumhe to pata hi hai k mujhe Machli ka Gosht pasand nahi .. Tum To Khao"
Or ye uska Doosra Jhoot tha.

Or phir mera baap mar gaya or wo bewa ho gayi ..
Or hum dono ghar me akaile reh gaye ..
Kuch din mera chacha, jo buhat acha admi tha
Hame Khana or zarooriyaate zindagi la ker deta raha.
Hamare Humsaye use Aaate jaate ghaur se dekhne lage.
Aik din unho ne Maa se kaha ...
"Zindagi hamesha is taur per guzari nahi ja sakti ..
Behter hai k tum is se shaadi ker lo"
Lekin meri maa ne chacha ko hi aane jaane se mana ker diya ..
Ye keh ker k ..
"Mujhe kisi saathi ki or kisi ki mohabbat ki koi zaroorat nahi"
Ye uska Teesra Jhoot tha.
Or jab me kuch or bara howa or bare school me jaane laga
To meri Maa Ghar me Her waqt kapre seene lagi ..
Or ye Kapre wo ghar ghar ja ker bechti thi ..
Sardiyoon ki aik raat thi, or Maa abhi tak ghar wapis nahi aayi thi ..
Me tang aa ker use dhoondhne bahar nikal para ...
Me ne use Kaproon ka aik gat'thar uthaye dekha ..
wo Galiyoon me ghar ghar darwaze khatkhataa rahi thi ..
Maine kaha, "Maa chalo ab ghar chalo .. Baqi kam kal ker lena"
Kehne lagi,
"Tum ghar Jao ...
Dekho kitni sardi hai or barish bhi ho rahi hai
Me ye 2 Jore bech ker hi aaon gi ..
Or fikar na karo ... Me bulkul theek hun or thakawat bhi nahi hai"
Ye uska Chautha Jhoot tha.

Or phir mera school me aakhri din bhi aya ..
Aakhri imtehanaat the ..
Maa mere saath school gayi ..
Me andar kamra'e Imtehaan me tha .. or wo bahar dhoop me khari thi
Buhat dair baad me bahar nikla .. me buhat khush tha
Maa ne wahin se aik Mashroob ki bottle khareedi or me ghata-ghat peene laga
Maine shukar guzaar nazroon se use dekha ..
Us k maathe per paseene ki dharain chal rahi thin ..
Maine bottle uski taraf berha di ..
"Piyo na Maa .."
"Tum piyo .. Mujhe to bulkul pyaas nahi hai .."
Ye uska Paanchwaan Jhoot tha.

Or jab me University se farigh ho gaya to aik nokri mil gayi
Me ne socha k ab ye munsaib waqt hai k maa ko kuch araam diya jaye
k ab uski sehat pehle jasi nahi thi
Isliye wo ghar ghar phir ker kapre bhi nahi bechti thi ..
Bal k Bazar me hi dari bicha ker kuch sabziyaan wagaira hi farookht ker aati thi.
Jab maine apni tankhaw me se kuch hissa use dena chaha
To usne narmi se mujhe mana ker diya ..
"Beta Abhi Tumhari Tankhaw thori hai ..
Ise apne paas hi rakh ker jama karo .. Mera To guzara chal hi raha hai
Itna kama leti hun jo mujhe kaafi ho jaye"
Or ye uska Chata Jhoot tha.
Or jab me kaam k saath saath mazeed perhne laga or mazeed deegrees lene laga
To meri taraqqi bhi ho gayi ..
Me jis German company me tha, unho me mujhe apne Head Office Germany bula liya.
Or meri aik nayi zindagi ki ibtidaa howi ..
Maine Maa ko phone kiya or use wahan mere paas ane ko kaha ..
Lekin use pasand na aya k mujh per bojh bane ..
Kehne lagi k,
"Tumhe to pata hai k Me us tarz-e-zindagi ki aadi nahi hun ..
Me Yahan per hi khush hun .."
Ye uska Saatwaan Jhot tha.

Or phir wo Buhat Borhi ho gayi ..
Aik din mujhe pata chala k use Jaan lewa cancer ho gaya hai
Mujhe us k paas hona chahye tha lekin hamare darmiyaan musafatain haayil thin
Phir jab use hospital pohcha diya gaya to mujh se raha na gaya ..
Me sab kuch chorh ker watan wapis aya us k paas ..
Wo bistar per thi .. Mujhe dekh ker us k hontoon per aik muskaan aa gayi ..
Mujhe use dekh ker aik dhachka sa laga or dil jalne laga ..
Buhat kamzoor, buhat beemar lag rahi thi ..
Ye wo nahi thi jisko me jaanta tha ..
Meri Aankhoon se aansoo jari ho gaye ..
Lekin Maa ne mujhe Theek se RONE bhi Nahi diya ..
Meri khatir phir muskurane lagi ..
"Na Ro mere bete .. Mujhe bulkul koi dard mehsoos nahi ho raha .."
Oe ye uska Aathwaan jhoot tha ..
Us k baad usne Aankhain Moond li ..
Or Us k baad phir dobara kabhi nahi kholi.


Sponsored Links